Aap ke paao.n ke niiche mera dil hai
Ek zara aapko zehmat hogi
Allah re nazuki, chambeli ka ek phool
Sar par jo rakh diya to kamar tak lachak gaii
Unse chhii.nke se koii chiiz utarwaii hai
Kaam ka kaam hai, angRaii ki angRaii hai
Kya nazaakat hai ki aariz unke neele paR gaye
Humne to bose liye the Khwaab me.n tasviir ke
Huuro.n ka intezaar kaun kare hashr tak
Mitti ki bhii mile to rava hai shabaab me.n
Lab-e-nazuk pe missi ki dhaRi hai
Khizr ki naao kausar me.n paRi hai
Kamsini hai to zide.n bhi hai.n niralii unkii
Aaj yeh zid hai ki hum dard-e-jigar dekhenge
The first couple is of Siraj Lucknowi, the rest I am not too sure.