Abdul Ahad 'Saaz' |
But there is no dearth of litterateurs and poets whose writings can astonish you. The difference is that people are not reading much in the current era. Abdul Ahad Saaz is one of the leading contemporary poets from Mumbai.
Read his Ghazal:
Khud ko kyoon jism ka zindaani karein
Fikr ko takht-e-suleimani karein
Der tak baith kar sochein khud ko
Aaj phir ghar mein biyaabaani karein
Apne kamre mein sajayen aafaaq
Jalsa-e-bay-sar-o-samaani karein
Umar bhar she'r kahein, khoon thookein
Muntakhib rasta-e-nuqsaani karein
Khud ke liye mol lein izhar ka qarz
Doosron ke liye aasaani karein
She'r ke lab par khamoshi likhein
Harf-e-nagufta ko la-faani karein
Keemiyakari hai fan apna Saaz
Aag ko haithe hue paani karein
Abdul Ahad Saaz
To read this ghazal and more verses in Urdu, Hindi and English, CLICK HERE