Monday, December 31, 2007

Selected couplets of Mirza Ghalib: Legendary Urdu poet's most quoted Urdu 'ashaar'


Mirza Asadullah Khan Ghalib, one of the greatest poets of India, sub-continent and the world, was born on December 27, 1797. Here is a selection of 25 couplets of Ghalib. People are entitled to their own preferences and there are hundreds of other 'ashaar' that can be termed the best of Ghalib's couplets.


meherbaaN hoke bulaa lo mujhe chaaho jis waqt
maiN gayaa waqt nahiiN huuN ki phir aa bhii na sakuuN

jaate hue kahte ho qayaamat ko milenge
kyaa Khuub, qayaamat ka hai goyaa koii din aur

ragoN meN dauDte phirne ke ham nahiiN qaayal
jab aaNkh hii se na Tapkaa to phir lahuu kyaa hai

kii mere qatl ke baad usne jafaa se toba
haae us zuud-pashemaaN ka pashemaaN honaa


koii mere dil se poochhe tere tiir-e-niimkash ko
yah khalish kahaan se hotii jo jigar ke paar hotaa

bandgii meN bhii voh aazadah-o-khudbiiN haiN ki ham
ulTe phir aaye dar-e-kaaba agar waa na huaa

zindagii yuuN bhii guzar hii jaatii
kyuuN teraa raahguzar yaad aayaa

pakDe jaate haiN farishtoN ke likhe par naahaq
aadmii koii hamaaraa dam-e-tahriir bhii thaa

zikr us parii-vash ka aur phir bayaaN apnaa
ban gayaa raqiib aakhir, thaa jo raazdaaN apnaa


mohabbat meN nahiiN hai farq jiine aur marne kaa
usii ko dekh kar jiite haiN jis kaafir pe dam nikle


hamne maanaa ki taGaaful na karoge lekin
Khaak ho jaayenge ham tumko Khabar hone tak

maiN ne chaahaa thaa ki andoh-e-wafa se chhuuTuuN
voh sitamgar mere marne pe bhii raazii na huaa

aataa hai daaG-e-hasrat-e-dil kaa shumaar yaad
mujh se mere gunah ka hisaab aye Khudaa na maang

hai pare sarhad-e-adraak se apnaa masjuud
qible ko ahle nazar qibla-numa kahte haiN

niiNd uskii hai dimaaG uskaa hai raateN uskii haiN
terii zulfeN jiske baazuu par pareshaaN ho gayiiN

ranj se Khuugar huaa insaaN to miT jaataa hai ranj
mushkileN mujh par paDiiN itnii ki aasaaN ho gayiiN

is saadgii pe kaun na mar jaaye aye Khudaa
laDte haiN aur haath meN talwaar bhii nahiiN

jab maikada chhuTaa to phir ab kyaa jagah kii qaid
masjid ho, madarsa ho, koii Khaanqaah ho

mai se Garz-e-nishaat hai kis ruu-siyaah ko
ek guuna be-Khudii mujhe din raat chahiye

zindagii apnii jab is shakl se guzrii Ghaalib
ham bhii kyaa yaad karenge kii Khudaa rakhte the

dekhnaa taqdiir kii lazzat ki jo usne kahaa
maiN ne yah jaanaa ki goyaa yah bhii mere dil meN hai

apnii galii meN mujhko na kar dafan baad-e-qatl
mere pate se Khalq ko kyuuN teraa ghar mile


siikhe haiN mahrukhoN ke liye ham musavvarii
taqriib kuchh to bahar-mulaaqaat chaahiye

(musavvari=art, painting)

unke dekhe se jo aa jaatii hai muNh par raunaq
woh samajhte hai ki biimaar kaa haal achchhaa hai

chand tasviir-e-butaaN chand hasiinoN ke khutuut
baad marne ke mere ghar se yah saamaaN niklaa

Read five selected Ghazals of Mirza Ghalib in Urdu, Hindi [devanagri] and Roman English scripts at Best Ghazals.