PARVEEN SHAKIR |
Parveen Shakir became a legend in her life. From the era of Mahlaqa Chanda to Meena Kumar 'Naaz', Urdu has had hundreds of poetesses.
Urdu poetry with its long hertiage had many poetesses but never before a poetess had given expression to her feelings in such a way.
Here is a selection of her couplets, which will give you an indication about the poetesses' unique talent and calibre.
Read the couplets:
Ghar ka darwaza khula rakha hai
Waqt mil jaye to zahmat karna
main sach kahungi magar phir bhi haar jaaungi
voh jhooT bolege aur la-jawaab kar dega
kaise kah duuN ki mujhe chhoR diya hai usne
baat to sach hai magar baat hai ruswayee ki
jugnoo ko din ke waqt parakhne ki zid kareN
bacchche hamaare ahad ke chalaak ho gaye
main uski dast-ras* mein huN magar voh mujhe meri raza** se maangta hai [*reach,**permission, will]
Rail ki seeti mein kaisi hijr* ki tamheed thee
Usko rukhsat karke ghar laute to andaza hua
[*separation]
Woh kaheen bhi gayaa, lauTaa to mere paas aaya
Bas yahi baat hai achchhi mere harjaai ki
Woh mere paaon ko chhoone jhuka tha jis lamhe
Jo maangta use de detee ameer aisee thee
ladkiyaan baithii hain paaoN daal ke
roshni hone lagi talaab mein
ek chaand saleeb shaakh-e-gul par
baali ki tarah latak raha hai
Chaand bhi meri karwaton ka gawah
Mere bistar ki har shikan ki tarah
MORE GHAZALS & NAZMS BY PARVEEN SHAKIR IN URDU, HINDI & ROMAN: READ AT THIS LINK